phir naya sal dabe panw chala aaya hai aur mitte hue maddham se nuqush daur-e-mazi ki khalaon mein nazar aate hain jaise chhodi hui manzil ka nishan jaise kuchh dur se aati hui aawaz-e-jaras kaun sahme hue mayus diyon ko dekhe phir bhi ye mujh ko khayal aata hai kitni nau-khez ummidon ko sahaare na mile kitni dubi hui kashti ko kinare na mile zulf lahrai pe sawan ki ghata ban na saki subah hansti rahi bujhte rahe kitne chehre chudiyan tut gain mang ke sindur ujde god viran hui naghme takhliq hue hont sile kitne fan-paron ke ambar lage shah-rahon pe jalane ke liye aashiyane ka tasawwur hi abhi aaya tha bijliyan kaund gain hiroshima chikh utha kitna pur-haul saman kitni bhayanak tarikh ye mah-o-sal ke phaile hue jal phir naya sal dabe panw chala aaya hai roz-o-shab jaise andhere mein luteron ke giroh apni tarik kamin gahon mein chhap kar baithen aur damanda sara hi koi ajnabi rahon se darta hua ghabraya hua apni koi hui manzil ki taraf jata ho aur lutere ise tanha pa kar us ke sine ka lahu le len ummidon ke diye bujh jaen kaun lekin dil insan ki tapish chhin sake phir naya sal dabe panw chala aaya hai kitni barik hai ye subh ki pahli kiran kaun jaane ki nai dam bhi kya laegi kan mein aaj bhi manus sada aati hai wahi dollar ka tilism wahi tahzib-o-tamaddun ke purane dawe wahi pasmanda mamalik ki taraqqi ka fareb wahi tarikh siyasat ke purane shatir atomi jang ka elan kiya karte hain kaun lekin dil-e-insan ki tapish chhin sake irtiqa aahan-o-faulad se kis tarah ruke tut jaenge mah-o-sal ke phaile hue jal phir naya sal dabe panw chala aata hai jao tarik makanon mein charaghan kar do aaj zanjir ki ek aur kadi tut gai aaj duniya ke awam apne sine se lagae hue apni tarikh apne hathon mein nae ahd ka farman liye ek nai rah pe badhte hi chale jate hain roz-o-shab jaise andhere mein luteron ke giroh hath bandhe hue qadmon pe jabinen rakh den phir naya sal dabe panw chala aaya hai jao tarik makanon mein charaghan kar do