hum kahin saat-e-be-baal-o-pari khol ke dam lete hain reg-zaron se nikalte hain rawani le kar aur utar jate hain gadrae hue pani mein bas isi pani mein hai apni hawas apne chalan ka qissa ye chalan khwab-gah-hast se hota hua kashane talak jata hai jis ki darzon se dua jhankti hai aur khilqat hai ki ghaflat-bhare pahron mein hawa mangti hai