naya sal phir aa gaya dosto nae sal ka khair maqdam karen padhai ka hum azm-e-mohkam karen buland kaamyabi ka parcham karen naya sal phir aa gaya dosto nae hausle hon nae walwale nai koshishen hon nae silsile hai duniya sabhi sukh ke daman tale naya sal phir aa gaya dosto khalai musafir ki baaten karen samar kaamyabi ke apne chunen taraqqi ki rahon pe badhte rahen naya sal phir aa gaya dosto fasurda riwayat ko chhod kar masail nae rakh ke pesh nazar karenge chalo sai-e-sham-o-sahar naya sal phir aa gaya dosto utho parcham-e-amn le kar utho jiyo khud bhi auron ko bhi jine do chalo to qadam sab mila kar chalo naya sal phir aa gaya dosto