raat har bar liye khauf ke khali paikar khun mera mangne be-khauf chali aati hai aur jalti hui aankhon ke tahayyur ke tale ek sannata bahut shor kiya karta hai kuchh to katta hai tadapta hai bahata hai lahu aur khul jate hain reshon ke purane bakhiye raat har bar meri jagti palken chun kar andhe gumnam darichon pe saja jati hai aur dhundlae hue gard-zada raston mein ek aahat ka sira hai jo nahin milta hai aasman gili chatanon pe tikae chehra siskiyan leta hai sahme hue bachche ki tarah aur darichon pe dhari kanpti palken meri gul-zaminon ke nae khwab buna karti hain