naya tarana

ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein

is des ka pani chandi hai is des ki mitti sona hai
bharpur hasin nazzaron se is des ka kona kona hai

ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein

is des mein jamuna bahti hai is des mein ganga lahraati
barsat mein is ki mast pawan kya git suhane hai gati

ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein

ye des ajanta elora ka ye taj-mahal ka gahwara
ye subh-e-banaras sham-e-awadh kashmir ka dilkash nazzara

ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein

wo koh himala is mein hai aakash se baaten karta hai
wo is ki shan badhata hai wo is ki hifazat karta hai

ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein

is des ki izzat kyun na karen ye des hai gandhi bapu ka
is des se kyun na pyar hamein ye des hai chacha nehru ka

ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein

aazad isi ke sewak the zakir the isi ke rakhwale
ek prem nagar hai des hai apna milte hain isi mein dil wale

ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein

ye des use apnaega jo dil se is ko chahega
is des ke jo kaam aaega wo mar ke amar ho jaega

ye apna watan hai apna watan hai apne watan se pyar hamein
is des ke har zarre mein nazar aata hai naya sansar hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close