sar-bar-awurda sanobar ki ghani shakhon mein chand billor ki tuti hui chudi ki tarah atka hai daman-e-koh ki ek basti mein timtimate hain mazaron pe charagh aasman surmai farghul mein sitare tanke simta jata hai jhuka aata hai waqt be-zar nazar aata hai sar-bar-awurda sanobar ki ghani shakhon mein subh ki nuqrai tanwir rachi jati hai daman-e-koh mein bikhre hue khet lahlahate hain to dharti ke tanaffus ki sada aati hai aasman kitni bulandi pe hai aur kitna azim nae suraj ki shuaon ka musaffa aangan waqt bedar nazar aata hai sar-bar-awurda sanobar ki ghani shakhon mein aaftab ek alao ki tarah raushan hai daman-e-koh mein chalte hue hal sina-e-dahr pe insan ke jabrut ki tarikh raqam karte hain aasman tez shuaon se hai is darja gudaz jaise chhune se pighal jaega waqt tayyar nazar aata hai sar-bar-awurda sanobar ki ghani shakhon mein zindagi kitne haqaeq ko janam deti hai daman-e-koh mein phaile hue maidanon par zauq-e-takhliq ne ejaz dikhae hain lahu ugla hai aasman gardish-e-ayyam ke rele se hirasan to nahin khair-maqdam ke bhi andaz hua karte hain waqt ki rah mein mod aate hain manzil to nahin aa sakti