kitaben bandh kar chalne ko sab tayyar baithe hain magar chhutti nahin milti bade lachaar baithe hain tapakti ek jhunjhlahat si hai chehre se bhi un ke pade hain saikdon bal dekhiye mathe pe bhi un ke hamari tarah shayad master sahab bhi hain bhuke abhi jhalla ke do ladkon ko wo bhi mar baithe hain magar chhutti nahin milti bade lachaar baithe hain abhi chauthi jamaat mein hain lekin kya qayamat hai pulanda ye kitabon ka nahin uthta musibat hai bhala itni bahut si copiyon ki kya zarurat hai ki jin ke waste beche hue ghar-bar baithe hain magar chhutti nahin milti bade lachaar baithe hain ye apne kaam se bachne ka achchha shakhsana hai wo jab dekho yahi karte hain un ka kya thikana hai ye ustadon ki meeting bhi bahana hi bahana hai wahan udti hain gappen hum yahan be-kar baithe hain magar chhutti nahin milti bade lachaar baithe hain khuda jaane ki ye baithe bithae kya khayal aaya gharibi mein sitam hum pe bhala ye kis liye dhaya naya ho uniform hukm ye school se aaya yahan sine ko hum apni phati shalwar baithe hain magar chhutti nahin milti bade lachaar baithe hain