hayat ke bahr-e-be-karan mein misal-e-qatra hun aur kya hun magar shuur-e-khudi hai mujh ko main apni hasti se aashna hun ye mere saz-e-ana ki lai hai jo bazm-e-alam mein gunjti hai wo jis mein hasti ka zer-o-bam hai main jazba-e-dil ki wo sada hun fana ki tez aur tund aandhi mein zau-fishan jo rahi hamesha hayat ka nur mujh mein pinhan jahan mein ek mashal-e-baqa hun mere hi zauq-e-nazar se qaem hai rang gulzar-e-zindagi ka bahaar zer-e-qadam hai jis ke main wo nasim-e-latif-pa hun meri nazar ki tajalliyon mein ye mah-o-anjum ki raushni hai ujala kaun-o-makan mein jis se main wo shua-e-tajalli-za hun