nazm

kisi tikhe musawwir ka hasin shahkar thi wo
us ke khadd-o-khal aise the

ki jaise aasman ke tasht pe rakkhe hue tare
magar wo istiare khul nahin sakte kisi surat

wo honton par hamesha muskurahat ka hasin ek taj rakhti thi
kabhi khulta nahin tha jo wo aisa raaz rakhti thi

bahut maghrur thi lekin hamari chahaton ki laj rakhti thi
ajab andaz rakhti thi

wo sharmati to chehre par ajab ek rang aa jata
wo chalti to ghazalon ko bhi chalne ka zara sa dhang aa jata

wo jis dam gungunati thi to ye mahsus hota tha
kisi mandir ki sari ghantiyan bajti hon haule se

wo aisi jal-pari thi
hum ne jis ke samne har apsara ko mand dekha tha

kabhi hum ne bhi apne ru-ba-ru ek chand dekha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close