palaT aao

palat aao
ki khwabon ki zaminon par

kisi duniya ka shahzada
kai qarnon

kai sadiyon se teri yaad ki chhanw mein baitha hai
use izn-e-huzuri do

ki us ki munjamid barfab aankhon mein khushi ki titliyan utren
palat aao

ki ab bhi shahr ki galiyan
tumhaare paon ki hiddat pe marti

bas tumhein aawaz deti hain
diye har aane wale se

tumhaara puchhte hain
aur darwaze tumhaari aahaton mein gum magar tum

duriyon ke shahr se bhi
dur baithe ho

jahan aawaz bhi jaane se darti hai
palat aao

ki ab bhi raste ummid ki khushbu se mahke hain
ki tanhai

hamari ruh ke sahil pe jab bhi bain karti hai
tumhaara nam leti hai

hawa jab gungunati hai
to us ke surmai honton se

tere dard mein dube hue lamhon ki kachchi bor udti hai
palat aao

ki ab hum dewtaon ki tarah khamosh rah rah kar
tumhaare hijr ke aazar sah sah kar

bahut hi thak chuke hain
hamein ab nind ke lambe safar par laut jaana hai

jahan hum ne zamane ki nigahon se pare
ek aur hi manzar basana hai

palat aao
ki ye lamhe hamara mans khane par tule hain

zindagi barud ban kar jism-o-jaan mein daudti hai
aankh pathrai hui hai

hath shal hain
aur hum pe maut si chhai hui hai

palat aao
ki dil ki dhadkanen ab bhi

tumhaare nam ki tasbih
subh sham padhti hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close