nazm

teri talab ka sabab sirf khali-pan to nahin
ki tujh se rabta mera zaruratan to nahin

main dhundhta tha shajar aasman ke hote hue
tere firaq mein tha do jahan ke hote hue

jab aashna thi mohabbat ki har gali mujh se
main zindagi se bahut khush tha zindagi mujh se

jab ehtiram kiya karti thi saba mera
bahaar khoj liya karti thi pata mera

jab aansuon ko mayassar hazar shane the
jab intizar na karne ke sau bahane the

teri umid se dil be-qarar tab bhi tha
yaqin kar ki tera intizar tab bhi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close