use hum zaicha kahte the tum taswir kahte the tumhaare un dinon ki jab tumhaare dil mein nila aasman hoga tumhaare samne hongi sunahri wadiyan ashjar ki rangin qataren titliyan pariyan kahin khwabon ki sarhad par tumhaara aashiyan hoga ye mumkin hai tumhaare dam-qadam se jawedan hoga tumhein taswir pyari thi tum us taswir ki takmil mein masruf the barson agar tum chahte to kal se pahle aasman dil mein utar aata wahin rahta sunahri wadiyan ashjar ki rangin qataren titliyan pariyan usi gulshan ki ho jatin usi aangan mein bas jatin jise tum ne banaya tha magar taswir mein tum ne jise khwabon ki sarhad par na jaane kyon dikhaya tha tumhaare dil mein sannata tumhaara aasman tera tumhaari wadiyon mein gunjti hain barf ki chikhen kahan ashjar kaisi titliyan kis des ki pariyan yahan tum kaun ho socho tumhaare zakhm honge mundamil to maut se honge