raunaq-e-maktab batao to zara chaar-harfi lafz hai wo kaun sa sar ko us ke kat dalen hum agar zulm ke mani hai deta sar-basar tisra gar harf is ka den gira is ke mani hon tariqa qaeda mante hain is ko sab pir-o-jawan zor-o-taqat mein hai wo ek pahlwan dekh lo tum aap main ne kah diya chaar sheron ke hai sar hi mein chhupa