nazm

mere in kakul-e-barham ki hikayat mat puchh
aah us nala-e-paiham ki haqiqat mat puchh

dekh le chashm-e-basirat se zamane ka nizam
mujh se ai dost mere gham ki sadaqat mat puchh

lab-e-rangin ka wo eajaz kahan se laun
saz-e-khamosh mein aawaz kahan se laun

dastan-e-dil-e-barbaad sunaun kaise
mujh pe guzri hai jo uftad sunaun kaise

aatish-e-gham se sulagta hai kaleja mera
dil-e-nashad ki fariyaad sunaun kaise

hae ab taqat-e-guftar kahan se laun
naghma-e-gham ka kharidar kahan se laun

jam-o-mina mein bahakte hue iman ko dekh
bhuk-o-iflas se marte hue insan ko dekh

har taraf shor hai fariyaad hai barbaadi hai
ru-e-gardun pe machalte hue tufan ko dekh

ab bata chashm-e-fusun-kar kahan se laun
mast-o-be-khud si wo raftar kahan se laun

par tujhe ishq-o-mohabbat se kahan fursat hai
mai-e-gul-rang ki lanat se kahan fursat hai

aah mazlum nigahon ka fasana sun le
hawas-o-hirs ki daulat se kahan fursat hai

dil-e-betab mein phir tab kahan se laun
apni aankhon mein mai-e-nab kahan se laun

apne gulshan ki tabahi ka gila kis se karun
sham-e-ghurbat ki siyahi ka gila kis se karun

holiyan khun ki kheli gain insanon mein
apni na-karda-gunahi ka gila kis se karun

apni nindon mein tere khwab kahan se laun
fursat-e-khatir-e-ahbab kahan se laun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close