talatum

dil aaj bahut ghabraata hai
dil aaj bahut ghabraata hai

tufan-o-talatum ke pale girdab sambhaale hain mujh ko
ek rahat-e-jaan hamdam ki tarah kuchh khwab sambhaale hain mujh ko

yun mere ghamon ke sanjida aadab sambhaale hain mujh ko
aur meri tabahi par khandan ahbab sambhaale hain mujh ko

har zakhm-e-jigar samjhata hai
dil aaj bahut ghabraata hai

ghabra ke ghurur-e-faqa-kashi pahlu mein bitha leta hai mujhe
sharma ke surur-e-tishna-labi daman mein chhupa leta hai mujhe

samjha ke fareb-e-nauhagari baaton mein laga leta hai mujhe
bahla ke sukut-e-nim-shabi zanu pe sula leta hai mujhe

har shai se magar uktata hai
dil aaj bahut ghabraata hai

kya aaj meri khamoshi bhi ek shor-e-fughan ban jaegi
jhunjhla ke nigah-e-yas meri khud shoala-fishan ban jaegi

pahlu se bagule utthenge har sans dhuan ban jaegi
jaise ki meri nakaami bhi ek azm-e-jawan ban jaegi

shoale ki tarah lahraata hai
dil aaj bahut ghabraata hai

khirman ki hamiyyat jagi hai ai barq-o-sharar ab kya hoga
barham hai nizam-e-hasti bhi ai dard-e-jigar ab kya hoga

har wada-e-farda ruth gaya ai sham-o-sahar ab kya hoga
chaunka hai zamir-e-wahm-o-guman ai zauq-e-nazar ab kya hoga

kya jaaniye kya samjhata hai
dil aaj bahut ghabraata hai

kya aaj main apne soe hue jazbaat-e-junun bedar karun
sailab-e-hawadis ban jaun barbaadi-e-sad-azad karun

niklun main hudud-e-imkan se tufan se nigahen chaar karun
ek talkh tabassum ko le kar duniya-e-sitam par war karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close