shahzade ai mulk-e-sukhan ke shahzade dekho main ne nazm likhi hai nazm ki jaise dil ka shahr shahr ki jis mein tum rahte ho aadhe hans hans baaten karte aur aadhe gum-sum rahte ho tumhein adhuri baaten aur adhuri nazmen achchhi lagti hain na tum kahte ho baat adhuri main bhi ek pura-pan hota hai khamoshi ke kitne mani hote hain kuchh baaten an-kahi mukammal shahzade main nazm adhuri likh lai hun tum is nazm ko unwan de do tum ye nazm mukammal kar do lekin tum is gahri chup mein kya is nazm ko tum anjam nahin doge is ko nam nahin doge