phir dil hai aaj gharq-e-tamanna tere liye aa muztarib hai ishq ki duniya tere liye wahshat baras rahi hai gulistan mein har taraf hai chaak-chaak daman-e-sahra tere liye teri nigah-e-mast ki mushtaq hai bahaar saghar mein hai ye larzish-e-sahba tere liye muddat se aarzu-e-tamasha hai sogwar muddat se mahw-e-dard hai duniya tere liye dil aur chashm-e-shauq ki manzil ke darmiyan wa he masarraton ka daricha tere liye ye chandni ye mauj-e-rawan aur ye do jam aa dekh ehtimam hai kya kya tere liye ye sabza-e-latif ye bhigi hui hawa ek gulsitan hai sahil-e-dariya tere liye 'jauhar' kahan hayat ki ye kashmakash kahan hai meri zindagi ki tamanna tere liye