mujhe mat kaho phul bagh-e-iram ka ki phulon ke hisse aziyyat bahut hai shama bhi na kahna ki jalna bhale hi khushi ka sabab ho kisi ko jalane mein tohmat bahut hai mujhe rang-o-nikhat se yaksaniyat ki bhi chahat nahin hai nazakat ka paikar kahe jaane ki bhi mere qalb-e-viran ko hajat nahin hai na hai mujh ko arman ki meri sataish mein duniya ke sab istiaron ko haaro hawale se mere labon par tumhaare laqab aur koi bhi janchta nahin hai so gar ho sake to mere gham-shanasa mujhe tum mere nam se hi pukaro