nazm ki khiDki suni hai

nazm koi doshiza hogi
hamsae ke ghar aa kar mehman bani hai

raat ke khane ki dawat ka soch raha hun
shayad ye aawaz nahin hai

sargoshi ke letter box mein
der se aane wala khat hai

nazm koi gandum ka khosha
jis ke rangon ka andaza

phal pakne par hota hai
ujlat ka khamyaza hogi

hum ne waqt se pahle chal padne ko
apna khasa man ke ghalati ki

wo aurat hogi
jis mein jism ki asr ke lamhe ki kaifiyat

khwahish par bhaari hoti hain
nazm pahadi nadi hogi

jis ke jazbon ki labrezi
aur tezi ki khushbu ko bhi

dur se dekha ja sakta hai
aisi hogi

waisi hogi
kah sakte hain

mafruzon ke phul kahin bhi khil sakte hain
lekin manzar-name ki nakaami par

kya kahte ho
dhalti sham ke khali bazu

dekh ke aisa kyon lagta hai
nazm ki khidki suni hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close