suraj ka darwaza khulta hai raat ki kalak se kajlai mitti ka chehra utra hai nargis fatima taza qabr ki khidki khol ke jhank rahi hai maut ki pahli subh ka manzar afsurda hai qabristan ko jaane wale raste par virani ke sannate hain ham-sai qabron mein jaise kafuri sakte ka nauha phail chuka hai dur kahin duniya ke sine mein sanson ka loha kundan karne wale umr-e-aziz ke halq mein siski ka ek chhalla tut gaya hai mahir surgeon banhon mein nakaami ka khamyaza bhar kar soch raha hai kar-e-masihai ka dawa jis lamhe ijad hua tha wo saat insani waqt ke hisse mein aa pai nahin be-samti ki zard lakiron par chalna danai nahin nabbazi ke nashtar se bhi maut ka patthar nokila hai nargis fatima dekh rahi hai operation theatre ke andar surgeon ki mazbut aankhon ne kamzori se tek laga kar harakat karna chhod diya hai