jis ke sheron ki ladiyan mohabbat ke mathe ka singhaar thin jis ke be-tab jazbon ki mithi kasak lutf ki dastanon ka unwan thi jo gulabi ruton ka mahakta hua surkh paiman thi aaj khamosh hai nafraton ke alaw se uthta dhuan zard shamon ke is matami ahd ko de gaya hai sulagte lahu ki humak phul ka ishq pesha gulabi badan qabr ke zard katbe ka darban hai titliyan mar chukin! chand khamosh hai jugnuon ka qabila siyah-posh hai nazm ki shaera! marsiye mangti, be-gunahi ka taza lahu thukti udte barud ke zahr se khansti hanpti-kanpti nazm kaise likhe