raat kal fazaon mein teri hi kahani thi hum bhi sunne wale the dil ki pasbani thi aasman se aamad thi gum-shuda khayalon ki jis qadar tasawwur tha itni shadmani thi dur sari duniya se ek nagar basaya tha us ka ek raja tha us ki ek rani thi zulf-o-rukh ki baaten thin din tha aur raaten thin subh kitni rangin thi sham kya suhani thi yaad hain wo din ab tak jab hasin raaton mein teri gungunahat par meri naghma-khwani thi tere ek tabassum par waqt bhi thahar jata is mein kab tarannum tha is mein kab rawani thi aansuon se jita tha gauhar-e-mohabbat ko teri kaamrani bhi kaisi kaamrani thi kitni garm-joshi thi kitni girya-o-zari kitni sard-mehri thi kitni sargirani thi ye meri khudai thi ya teri khuda jaane meri lan-tarani par teri be-zabani thi main ne tujh ko kab samjha main ne tujh ko kab paya main zamin ka banda tu ruh aasmani thi