shairi ki do sinfen hain nazm-o-ghazal urdu mein in ki shohrat hai bachcho atal nazm paband hai nazm aazad bhi ye kabhi nasr hai aur muarra kabhi nazm-e-paband mein wazn hoga myan aur aazad mein bhi hai is ka nishan nazm-e-paband ka tarz hai jo latif is mein paoge tum qafiya-o-radif nasri nazmon mein bas nasr hi nasr hai wazn aur qafiya hai na hi bahr hai wazn aur qafiye jin ko mushkil hue nasri nazmen umuman wo kahte lage wazn nazm-e-muarra mein hai dosto is ko tum be-radif-o-qawafi kaho masnawi ho qasida ho ya marsiya nazm ka milta hai bachcho hum ko pata nazm mein silsila hai khayalat ka ek dariya sa hai dekho jazbaat ka wo mukhammas ho ya ho musaddas koi ye bhi ek shakl hai nazm-e-paband ki wo ghazal ho ki ho nazm bachcho suno donon yaksan hain shohrat mein bas jaan lo 'josh' ki nazmen mashhur hain har jagah hain ghazal ke 'jigar' waqai baadshah nazm mein jo kahani kahi jaegi shauq se ai miyan wo suni jaegi nazmen simab-o-iqbaal ne bhi likhin jo nihayat hi mashhur sabit huin karta hun bachchon ke waste main dua nazmen bachchon ki likhta hun 'hafiz' sada