taj-mahal

aagara shahr mein mohabbat ka
ek minar jagmagata hai

log kahte hain jis ko taj-mahal
mere dil ko bahut lubhata hai

raushni phutti hai jali se
bagh mein phul muskuraate hain

log pahlu mein baith kar us ke
hae kitna sukun pate hain

ruh jis mein nahin pa hai zinda
tum na mano magar haqiqat hai

waqt dhundla na kar saka jis ko
ye mohabbat ki wo imarat hai

kurra-e-arz par ajuba hai
kaise inkar ho wadiat se

fakhr hindostan ko hai is par
taj ko dekhiye aqidat se

dekhna ho kabhi to aa jaana
dars wo kis tarah se dete hain

chahne wale taj mein 'bismil'
aks-e-mahbub dekh lete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close