ek ek ruh ke aage ek diwar hai unchi gale gale tak ek diwar hai ramz daron ki us diwar ke andar ki jaanib jitna kuchh bhi hota hai jis ke pas khazana ek durdana ya ek tal-makhana naqd-e-baatin ya kam-az-kam aab-o-dana jitna kuchh bhi pas ho utni hi diwar ye moti hoti hai aur us duri ke bais utni hi us ruh ki baat zara gambhir aur gahri ho jati hai apne bojh se bojhal ho jati hai der se sunne mein aati hai apne pas to kuchh bhi nahin ruh na us ka koi dhaara apne pas to sirf ek ye aawaz hai jis ke aage koi bhi diwar nahin hai san se tumhaare pas pahunch jati hai is aawaz mein ramz daron ke sare ghair muqattar zahr hain us ka bura na kabhi kabhi ji mein aae to sun lo chun lo rakh lo chakh lo