phir usi shokh ka khayal aaya phir nazar mein wo khush-jamal aaya phir tadapne laga dil-e-muztar phir barasne laga hai dida-e-tar yaad aain wo chandni raaten wo hansi khel dil-lagi baaten shab-e-tarik hai khamoshi hai kal jahan mahw-e-aish-koshi hai lutf sajdon mein aa raha hai mujhe chhup ke koi bula raha hai mujhe chudiyan baj rahi hain hathon ki aai aawaz us ki baaton ki ud raha hai ghubar-e-nur-e-badan phailti ja rahi hai bu-e-dahan mauj-e-tasnim o kaif-e-khuld-e-barin jagmagata badan chamakti jabin apne aanchal mein munh chhupae hue aa raha hai qadam badhae hue naghme pazeb ke sunate hue bakht-e-khufta mere jagate hue ishwa-o-naz ka fusun le kar sath ek lashkar-e-junun le kar dur se muskuraata aata hai bijliyan si giraata aata hai wo ki rangin kiran tabassum ki ek musalsal ladi tarannum ki parda-e-tan mein rag poshida rag wo jis mein aag poshida bansuri si bajae jata hai aag tan mein lagae jata hai ek duniya-e-rang-o-bu ban kar khun-shuda dil ki aarzu ban kar nai dulhan ki tharthari ban kar us ke honton ki kapkapi ban kar mere dil mein sama gaya koi meri hasti pe chha gaya koi