khazanon ko tum dhundne par musir ho tapakta hai khun nakhunon se aur aankhon se khoi hui nind ki talkh surkhi ye kheton ki jiti jaden katte phawde aur kudalen main khud maut ke hath jis ke tamaskhur se tum be-khabar ho hatheli par umr aur dil ki lakiron mein atke ye maddham se zarre ki jin mein abhi tak tumhaare ab wajd ki mitti ki ek jhilmilati kiran kitne zarkhez wadon ke din-raat tajti hui is ghadi qaid mein hai tumhaari tarah wo khazanon pe baithe hue sanp taza lahu pi ke phir se kisi khoe nashe ki jannat mein ghulne khayali azabon mein jalne ki hairat se goya sarapa zar-o-sim ki yakh salakhen aur aankhen bilor aur hire khazane to sab khak mein mil chuke hain hawa aur hawas ke purane thikanon pe ab nau-ba-nau phul hasrat ke dekho ye mitti ki chup hai bas us ke dafine baras ke baras chaar din phul patton ki lila ye mitti tumhein dhundti hai