aaj hum sab shad hain apna watan aazad hai hum hain bulbul jis chaman ke wo chaman aazad hai aaj aazadi ka din hai aao hum khushiyan manaen nach aazadi ka nachen git aazadi ke gaen thi ghata chhai hui andher ki wo chhat gai tegh-e-azadi se zanjir-e-ghulami kat gai aaj wo din hai hui thi desh ki janta ki jit aaj hi ke din chali thi is mein aazadi ki rit aaj wo din hai tarane aish ke ishrat ke gaen aaj wo din hai ki tanen mil ke khushiyon ki udaen qaum jo aazad hai duniya mein izzat us ki hai aan us ki shan us ki aur azmat us ki hai desh ke bachche bhi khush hain kyon na ho in ki khushi khil gai hai phul ban kar aaj har dil ki kali dil lagi hai chahl hai aur har taraf hain qahqahe hain ye bulbul is chaman ke kar rahe hain chahchahe dil mein jazba hai jawan ho kar sabhi aage badhen azm hai ye jaan-o-dil se des ki khidmat karen amn-o-azadi ka hum paigham duniya ko sunaen des ki apne badai apne kaamon se dikhaen farz apna hum karen dil se ada aur jaan se ho wafadari hamari apne hindostan se ek ek bachcha gai ho ilm ka charcha badhe ek ek bachcha dhani ho des ki sewa kare ek ek bachcha rahe badh chadh ke gun aur gyan mein ek se ek badh kar dikhae aap ko wigyan mein aao 'nayyar' des ke bachchon ki jhurmut mein tum aao aao aao nazm aazadi ki bachchon ko sunao aao sab nara lagaen zindabaad hindostan aao hum sab mil ke gaen zindabaad hindostan zindabaad hindostan zindabaad