jhalka jhalka sapida-e-subh jhalka jhalka sapida-e-subh tare chhupte hain jhilmila kar hai nur sa jalwa-gar falak par bhini bhini mahak gulon ki aur naghma-zani wo bulbulon ki waqt-e-sahra aur tang hua hai be-mai sab kirkira maza hai ek chullu ke dene mein ye takrar utho jago sahar hui yar dariya ki taraf chale nahane ghat pariyon ke zanan-khane murghan-e-chaman ye nukta-rani chun brahamnan ye bed-khwani naubat-e-rangat jamuna rahi hai shahansha-e-maza dikha rahi hai