sanam-kadon mein charaghan hai mai-kadon ki taraf nigah-e-pir-e-mughan ki sabil jari hai har ek fusun hai, magar be-asar hai chaaragaro idhar bhi tishna-labi mustaqil nahin jati yahan bhi nashsha-e-na-mo'tabar hai chaaragaro main aisa jada-e-manzil guzishta hun jis ke har ek sang mein zakhm-e-safar hai chaaragaro har ek din ki tarah tha visal ka din bhi jilau mein farsh, na qadmon mein aasman liye qarib aae aur aa kar badal gae mausam guzar gai shab-e-hijran baghair jaan liye koi sune bhi to kya dastan sunaun use hadis-e-sham-o-sahar mukhtasar hai chaaragaro siwae ye ki dil aashufta-sar hai chaaragaro