nazm

dheron shokh se lamhe
hansmukh si kai ghadiyan

yaad mein ab tak zinda hain
an-ginat se pal milan ke

kuchh anmol se wo wade
tere shikwe aur irade

sath mein bite sham-o-sahar
qismat ke wo zer-o-zabar

baqi sab be-mol hue
pal ye bas anmol hue

lamhe teri yaadon ke
yaad mein ab tak zinda hain

din-bhar tujh se baaten karna
phir aankhon mein raaten karna

yaad mein ab tak zinda hain
yaad ke lamhe jit chuke hain

kitne zamane bit chuke hain
yaad mein ab tak zinda hain

tum bin hum adhure hain
wade lekin pure hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close