dil ke mandir mein hun ek murat hun main main ki pur-kaif hun khubsurat hun main man ki mamta hun main ek aurat hun main mujh ko samjho zara bint-e-hawwa hun main ek qasida hun main ek nauha hun main ek aurat hun main ek hurmat hun main gulshan-e-zist mein ek farhat hun main main azal se mohabbat ka unwan hun husn-e-fitrat ki main ek pahchan hun dast-e-qismat ke hathon dhani main hui zulm had se badha to wani main hui ye sabaq yaad hai meri aulad ko mere qadmon mein jannat banai gai mere husn-e-takhayyul pe qurban sab meri khatir ye duniya sajai gai meri aaghosh mein hain payambar pale main ki khush-bakht hun kitne rahbar pale rang khushbu dhanak phul jugnu saba meri khatir chaman ko sanwara gaya husn qaem hai aurat ki takhliq se is liye aasman se utara gaya