nazm

us ki gali mein phir mujhe ek bar le chalo
majbur kar ke mujh ko mere yar le chalo

shayad ye mera wahm ho mera khayal ho
mumkin hai mere baad use mera malal ho

pachhta raha ho ab mujhe dar se utha ke wo
baitha ho meri rah mein aankhen bichha ke wo

us ne bhi to kiya tha mujhe pyar le chalo
ab us gali mein koi na aaega mere baad

us dar pe kaun khun bahaega mere baad
main ne to sang-o-khisht se takra ke apna sar

gulnar kar diye the lahu se wo baam-o-dar
phir muntazir hain wo dar-o-diwar le chalo

wo jis ne mere sine ko zakhmon se bhar diya
chhudwa ke apna dar mujhe dar dar ka kar diya

mana ki us ke zulm-o-sitam se hun nim-jaan
phir bhi main sakht jaan hun pahunch jaunga wahan

sau bar jaunga mujhe sau bar le chalo
diwana kah ke logon ne har baat tal di

duniya ne mere panw mein zanjir dal di
chaho jo tum to mera muqaddar sanwar do

yaro ye mere panw ki bedi utar do
ya khinchte hue sar-e-bazar le chalo

us ki gali ko jaanta pahchanta hun main
wo meri qatl-gah hai ye manta hun main

us ki gali mein maut muqaddar ki baat hai
'shahid' ye maut ahl-e-wafa ki hayat hai

main khud bhi maut ka hun talabgar le chalo
us ki gali mein phir mujhe ek bar le chalo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close