didar ka mausam hai khoe ho kahan jaanan pedon pe chahakte hain yaadon ke hasin panchhi har dhup sunahri hai par jot abhi kam hai main chand se kyon puchhun kya raat suhani hai tum khud hi samajh lena shabnam ki sahar nam hai tum khwab sahi lekin khat mera haqiqat hai thak haar ke lauta hai aur is ka mujhe gham hai didar ka mausam hai khoe ho kahan jaanan