ek duje pe aasra karenge ham-safar dar-ba-dar raha karenge chhod denge ye scienci duniya khud se technology juda karenge kohsaron ki unchi ghaaron mein khamushi se mukalima karenge itna sochenge apne bare mein khud ko insan se khuda karenge tang padne lagi zamin agar aasman se muamla karenge bij boenge phul ugaenge aur ye kaam ja-ba-ja karenge rah mein rah jaane wali khushbu ka hum hawa se mutalba karenge khushk akhrot mausami injir shahad pani se nashta karenge mausamon par kiya karenge yaqin paniyon par chala phira karenge dhup mein unghte pahadon ko qahqahon se jaga diya karenge jo parinda sunae kalima khair us ke haq mein dua kiya karenge baadalon se karenge raaz-o-niyaz dukh hawa se kaha suna karenge hum utarenge sham basti par raat ko din se hum juda karenge kis ne p hai sharab ghaalib c mir sa ishq log kya karenge