nazmen mujh ko dhund rahi hain lekin shayad main to qabristan ka rasta bhul gai hun aur apne bosida aur murda khwabon ko apne hi kandhe pe uthae qarya qarya ghum rahi hun ye bhi yaad nahin hai mujh ko mazi ek aaseb-zada viran khandar hai haal faqat parkar ki gardish mustaqbil ek bahlawa hai tinon dariya ek samundar mein girte hain nazmen mujh ko dhund rahi hain lekin main imkan ka rasta bhul gai hun ye bhi yaad nahin hai mujh ko dukh ke rele mein aksar takhliq ki kadiyan kho jati hain nazmen bhi gum ho jati hain