mere KHwab

mere khwab ashkon mein tahlil ho kar kahin kho gae hain
khayal aa raha hai

ki shayad meri ruh ke nim-tarik se jangalon mein bhatakne lage hain
kai din se un tak

meri soch mere tasawwur ki koi rasai nahin hai
magar jaanti hun ki wo dhire dhire mere hi lahu mein sisakne lage hain

kai din se main ne unhen koi lori sunai nahin hai
so ab ye kisi nanhe bachche ki surat bilakne lage hain

main ab sochti hun
ki un ke liye

apni aankhon se bahar nikalne ki main koi tadbir karti
tajrabon ke raushan safar par unhen sath le kar to jati

main ek bar to un ki tauqir karti
main ab sochti hun

ki ek khubsurat sa chehra bana kar
unhen apne kamre ki bosida diwar par hi sajati

mohabbat ke bikhre hue sare rangon ko taswir karti
magar ab mere khwab gahri baghawat ke nashshe mein hain wo bahakne lage hain

so ab ye hua hai
ki main ne utha kar unhen ghar ki dahliz par rakh diya hai

ki shayad koi ek shanasa musafir idhar aan nikle
zara der thahre zara muskurae

mere khwab ki kirchiyon ko samete
aur apni umangon se bharpur aankhen yahin chhod jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close