meri tamam kaenat ghas ke waraq ki tarah sukhne lage to tum is tanha raste pe aaoge? takhliq ke chup malik! aaqa! khuda! tum ki khoe houn ke dard muddaton sambhaale rahe ho us raste pe ki jahan mujhe kabhi yaqin na ho saka ki pani mangun to kaise roti ya aafiyat ya mahz pahchan ki bhik mangun to kaise tum aaoge? jale hue jism ke is raste pe? maut ke dusre sahil pe dhuen ki tarah pash pash budhi haddiyon ki is sar-zamin pe? yahan be-nutq lafz ek dusre ka munh takte hain aur har dua ne lafzon se munh mod liya hai