tum ne likkha hai nind nahin aati hai tum ko tum se bahut hi dur hun na main is dharti se us dharti tak beach mein kitne dariya aur samundar honge ye to sach hai lekin un maon ka socho jin ke bete chand talak ek din jaenge ja ke wahan par bas jaenge aise mein jab raat aaegi chand zamin par nikla hoga chand mein un ka chehra hoga lekin un ke ghar ka aangan kitna suna suna hoga darwazon par khamoshi ka pahra hoga aankhon mein virani hogi dil mein bhi sannata hoga raat aaegi aur aankhon se nind ki pariyan ruthi hongi wo bas chand ko dekhti hongi jagti hongi un maon ke bare mein bhi kuchh to socho shayad tum ko nind aa jae main to itni dur nahin hun main to yahin par hi basta hun sans yahin par hi leta hun main to zamin par hi rahta hun