apne dil ko donon aalam se utha sakta hun main kya samajhti ho ki tum ko bhi bhula sakta hun main kaun tum se chhin sakta hai mujhe kya wahm hai khud zulekha se bhi to daman bacha sakta hun main dil mein tum paida karo pahle meri si juraten aur phir dekho ki tum ko kya bana sakta hun main dafn kar sakta hun sine mein tumhaare raaz ko aur tum chaho to afsana bana sakta hun mein mein qasam khata hun apne nutq ke eajaz ki tum ko bazm-e-mah-o-anjum mein bitha sakta hun main sar pe rakh sakta hun taj-e-kishwar-e-nuraniyan mahfil-e-khurshid ko nicha dikha sakta hun main main bahut sarkash hun lekin ek tumhaare waste dil bujha sakta hun main aankhen bacha sakta hun main tum agar rutho to ek tum ko manane ke liye git ga sakta hun main aansu baha sakta hun main jazb hai dil mein mere donon jahan ka soz-o-saz barbat-e-fitrat ka har naghma suna sakta hun main tum samajhti ho ki hain parde bahut se darmiyan main ye kahta hun ki har parda utha sakta hun main tum ki ban sakti ho har mahfil mein firdaus-e-nazar mujh ko ye dawa ki har mahfil pe chha sakta hun main aao mil kar inqalab-e-taza-tar paida karen dahr par is tarah chha jaen ki sab dekha karen