patang udane se pahle ye jaan lena tha ki is ki asal hai kya aur mahiyat kya hai bahut nahif si do bans ki khapanchen hain aur un se lipta murabbe mein na-tawan kaghaz ye jis ke dam pe hawa mein kulelen bharti hai zara si zarb se wo dor tut jati hai patang kat gai to is ka itna gham kyun hai patang udane se pahle ye jaan lena tha ki is ki asal hai kya aur mahiyat kya hai