kahne ko aam rasm-e-shikayat ho gai lab tak na aai baat magar baat ho gai hans hans ke pi liye gham-e-dauran ke talkh jam yun sazgar gardish-e-haalat ho gai zindan ki shab nazar ke ujale khayal-e-dost yakja hue to pursish-e-haalat ho gai mahwiyyat-e-hikayat-e-dauran na pochhiye kab din hua khabar nahin kab raat ho gai jo aasman-nashin hain unhen is ka ilm hai jab bhi zamin par aae unhen mat ho gai gulshan qafas bahaar gareban junun khirad marbut in se bazm-e-kharabaat ho gai 'sahba' asar nigah ki allah re kashmakash nindon mein kaif-o-kam ki shuruat ho gai