kyon

ai khuda phir se hamein jahl ki daulat de de
tu ne kyon ilm diya aur jahaalat chhini

tu ne kyon jannat-e-humaqa se nikala hum ko
zehn ko kis liye hone diya baaligh tu ne

aastinon mein mere pal ke sanpole ki tarah
das liye jis ne mere sare hi auham-e-kuhan

aankhen chehre pe kabhi ko hain milin
kan bhi

hath bhi
panw bhi pae sab ne

dekhte sab hain
har ek baat ko sab jaante hain

aur pamal kiya karte hain sare raste
phir ye kya baat hai

main guzra jo in rahon se
apni aankhon se manazir wahi dekhe main ne

jo sabhi dekh rahe the
jo sabhi ne dekhe

be-hisi aur sukun se
kyon mere kan baje

kyon meri fikr ko mahmez hui
aur jag uttha khayalat mein mahshar ka hujum

ai khuda phir se hamein jahl ki daulat de de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close