meri kala meri shairi mere fan ka us ko salam pahunche ki jis ne mashriq ki azmaton ko ata kiye zindagi ke paikar jo satwaten khwab ho chuki thin jo rifaten past ho chuki thin unhen jaga kar unhen saja kar bana diya aasman ka ham-sar bhatak rahi thi watan ki hasti ghulam ruhon ke karwan mein shuur-e-azadi us ko de kar bana diya asr-e-nau ka rahbar meri nawaon mein shokh tarz-e-sukhan ka us ko salam pahonche ki jis ne mashriq ki sarzamin ko nae jahan ka ufuq banaya nizam-e-tahsil-e-ilm badla naya tasawwur adab ko bakhsha lalit-kalaon ko shanti ke hasin unwan se sajaya shafaq ki mehndi dhanak ke kangan churae aur kahkashan ki afshan bade jatan se hasina-e-shairi ko jis ne dulhan banaya 'sarosh' mere shuur ke bankpan ka us ko salam pahunche sharab-e-mashriq ke jam chhalkae jis ne maghrib ke mai-kadon mein musawwir-e-talat-e-nigaran mughanni-e-shaukat-e-bahaaran hain maujzan kaenat ke dil ki dhadkanen jis ke chahchahon mein sukut-e-shab raqs-e-mah-o-anjum faza ke shane saba ki zulfen nigar-e-fitrat ki har ada ka jamal hai jis ke zamzamon mein main ruh-e-tagore tere dar par aqidat-e-sar jhuka raha hun tere tasawwur mein naghma-zan hun main teri hi lai mein ga raha hun tere takhayyul tere tafakkur tere tadabbur ke phul chun kar main apne fan apne daur apne watan ki mahfil saja raha hun