tum ne likkha hai mere khat mujhe wapas kar do dar gain husn-e-dil-awez ki ruswai se main na kahta tha ki tum mujh se mohabbat na karo yun na khelo mere jazbaat ki ranai se sab samajhte the hamesha mujhe jaan-e-mahfil ab mera haal to puchho meri tanhai se tum nai bazm saja logi tumhaara kya hai tumhein dhundengi kahan meri sulagti raaten bhul hi jaogi do chaar dinon mein tum to do dhadakte hue be-tab dilon ki baaten main kahan jaunga mahrumi-e-dil ko le kar phut kar roengi jis waqt bhari barsaten kash kuchh pyar ka anjam to socha hota chhin li meri jawani se jawani tum ne main na kahta tha ki tum mujh se mohabbat na karo lakh samjhaya magar ek na mani tum ne tum na mano to bhala kaun kahe kaun sune pyar puja hai parastish hai tijarat to nahin sone chandi ke liye ishq ko thukra dena khel ho sakta hai meayar-e-mohabbat to nahin tum zar-o-sim ki mizan mein tul sakti ho pyar bikta nahin chahat ka koi mol nahin is se pahle ki mere ishq par ilzam dharo dekh lo husn ki fitrat mein to kuchh jhol nahin apne hi likkhe hue chand khaton ki khatir mujh se khaif hi nahin khud se bhi bezar ho tum kashti-e-husn ki tuti hui patwar ho tum tum ho khud apne hi ehsas ki thukrai hui apne anjam se sahmi hui ghabrai hui kis liye aaj nazar aati ho khoi khoi khelne hi ki tamanna thi to mujh se kahtin tumhein bazar se la deta khilauna koi aaj ki baat nahin baat bahut der ki hai main ne samjha tha meri ruh ki aawaz ho tum nashsha-e-husn ki ek lahar ho machli hui lahar ek lajata hua sharmata hua raaz ho tum tum ho wo raaz ki jis raaz ko har lamhe ne sher-o-naghma ki fazaon mein sajae rakkha tum ho wo raaz ki jis raaz ki ranai ko main ne ehsas ke sine se lagae rakkha wo lajata hua sharmata hua raaz jise main ne apni bhi nigahon se chhupae rakkha ji mein aata hai ki is raaz ko ruswa kar dun kyun na har naz ko andaz ko ruswa kar dun tod dun shokh khanakte hue gajron ka ghurur mast pazeb ki aawaz ko ruswa kar dun ji mein aata hai ki main bhi tumhein badnam karun tumhein badnam karun aur sar-e-am karo aakhir insan hun main bhi koi patthar to nahin main bhi sine mein dhadakta hua dil rakhta hun mujh ko bhi pyar se khwabon se tumhaari hi tarah mujh ko bhi apni jawan-sal umangen hain aziz meri fitrat ko bhi hai ashk-o-tabassum mein tamiz main ne socha hai ki main bhi tumhein badnam karun lekin afsos ki ye mujh se nahin ho sakta tum ne samjha na mohabbat ke ishaaron ka mizaj tum ne dekhi na dhadakte hue jazbon ki sarisht mere wijdan ne takhliq kiya tha jis ko tum ne khud aap jalaya hai wo khwabon ka bahisht tum ne jis tarah jalaya hai rulaya hai mujhe aaj kyun main bhi usi tarah rulaun na tumhein dekh paengi na jis rukh ko tumhaari aankhen aaj taswir ka wo rukh bhi dikhaun na tumhein? kash tum ne kabhi socha kabhi samjha hota main ne kya kuchh na kiya husn ki azmat ke liye kaun se dukh na sahe kaun se tane na sune fikr o ehsas ke shadab gulistanon se tum ne kaliyan hi chunin main ne to kante bhi chune main hi begana raha apni haqiqat se magar tum ne haalat ke unwan ko pahchan liya apne bahke hue jazbaat ki taskin ke liye tum ne munh-zor jawani ka kaha man liya tum ne pur-josh riwayat ki rau mein bah kar kar diya gardish-e-dauran ke hawale mujh ko kaun ab chand sitaron mein mujhe le jae kaun ab zehn ki zulmat se nikale mujh ko ishq aur husn ko badnam kare kya mani ye to wo dagh hai kirdar ki peshani par waqt sadiyon jise roe to nahin dho sakta kaun puchhega bhala mujh se mere dil ki murad kitna gahra hai mohabbat ke taqazon ka tazad main to kahta hun ki tum pyar se jholi bhar do tum ne likkha hai mere khat mujhe wapas kar do ab jo chaho wo karo rahm-o-karam ho ki sitam ab nahin tarz-e-taghaful ka mere ishq ko gham shauq se meri tamannaon ki barbaadi ho kuchh bhi ho tum mere ehsas ki shahzadi ho