raat ki shakh pe khilte hue taron ke gulab nikhat-o-nur ki manzil ka pata dete hain saz betab hai mizrab ki jumbish ke liye git raqqasa-e-hasti ko sada dete hain jis ki aawaz mein farda ki khanak shamil hai ek ubharte hue suraj ki chamak shamil hai jis ki tabish se shuaon ki phuwaren phutin jis se pur-haul andheron ka jigar kanp uthe phul ki tarah subuk tegh ki manind giran jis ke ehsas se zulmat ki sipar kanp uthe jis ke sae mein umidon ko jawan hona hai rifat-e-ishq ko sarmaya-e-jaan hona hai zindagi thos haqiqat hai koi khwab nahin phir bhi ek umr bani rahti hai diwane ka khwab in haqaeq ko bhala kaun bhula sakta hai sakht haalat ke tapte hue virane ka khwab bistar-e-makhmal-o-sanjab bhi yaad aata hai gham-o-alam ka zahrab bhi yaad aata hai ye mahakte hue gajre ye lahakte hue phul in pe mustaqbil-e-zarrin ka guman hai ki nahin ek ehsas-e-bashar ke liye khushbu-e-visal lakh nazuk ho magar bar-e-garan hai ki nahin jazba-e-soz-e-darun aaj giraftar hua ek shair ka junun aaj giraftar hua