main ne tanha kabhi us ko dekha nahin phir bhi jab us ko dekha wo tanha mila jaise sahra mein chashma kahin ya samundar mein minar-e-nur ya koi fikr-e-auham mein fikr sadiyon akeli akeli rahi zehn sadiyon akela akela mila aur akela akela bhatakta raha har nae har purane zamane mein wo be-zaban tirgi mein kabhi aur kabhi chikhti dhup mein chandni mein kabhi khwab ki us ki taqdir thi ek musalsal talash khud ko dhunda kiya har fasane mein wo bojh se apne us ki kamar jhuk gai qad magar aur kuchh aur badhta raha khair-o-shar ki koi jang ho zindagi ka ho koi jihad wo hamesha hua sab se pahle shahid sab se pahle wo suli pe chadhta raha jin taqazon ne us ko diya tha janam un ki aaghosh mein phir samaya na wo khun mein wed gunje hue aur jabin par farozan azan aur sine pe raqsan salib be-jhijhak sab ke qabu mein aaya na wo hath mein us ke kya tha jo deta hamein sirf ek kil us kil ka ek nishan nashsha-e-mai koi chiz hai ek ghadi do ghadi ek raat aur hasil wahi dard-e-sar us ne zindan mein lekin piya tha jo zahr uth ke sine se baitha na is ka dhuan