main bachcha hun main bachcha hun kabhi main bhi bada hunga abhi se kaise batlaun ki is duniya mein kya hunga main ji bachpan se padhne aur likhne mein lagaunga kabhi khelunga khush ho kar kabhi padhne ko jaunga musibat kuchh bhi pesh aa jae hargiz munh na modunga uthun jis kaam ke karne ko pura kar ke chhodunga main is duniya ke har ilm-o-hunar se aashna ho kar baja launga mulk aur qaum ki khidmat bada ho kar main apne sabr aur himmat se dukh par fath paunga main taklifen uthaunga magar kuchh kar dikhaunga main apne mulk ki qaumon ko aapas mein mila dunga jo ladte hain unhen sharbat mohabbat ka pila dunga musalman aur hindu jain budh sikh aur isai meri koshish se us din sab ke sab ho jaenge bhai ye sari taqaten mil kar watan ke kaam aaengi nai ek ruh is mein phunk kar is ko jilaengi nae sir se watan ke dil mein phir ek josh utthega sanaat ka zaraat ka tijarat ka hukumat ka badhegi mulk ki raunaq badhegi is ki aabaadi jidhar dekho udhar rahat jidhar dekho udhar shadi hua aisa to 'nayyar' hum khushi ke git gaenge ghulami ke zamane ki kahani bhul jaenge