ai mandela teri bebak qayaadat ko salam sach hai insan ki tauqir badha di tu ne ta-abad yaad rahegi ye misali paikar qila-e-zulm ki buniyaad hila di tu ne ye teri jehd-e-musalsal ye tera azm-e-samim shama tufan-e-hawadis mein jala di tu ne aaj africa ke sab pir-o-jawan hain bedar qismat-e-khufta ghulamon ki jaga di tu ne zor-e-bazu ne tere aaj bada kaam kiya gardan-e-khwajgi pal-bhar mein jhuka di tu ne jo thi insan pe insan ke sitam ki buniyaad past-o-baala ki wo tafriq mita di tu ne tu ne shahin se mamule ko ladaya ai dost khak mein haibat-e-afrang mila di tu ne ai mere mard-e-mujahid teri jurat ke nisar rang aur nasl ki diwar gira di tu ne dekh hai waqt ki maujon mein rawani tujh se zinda hai azmat-e-insan ki kahani tujh se