waqt ki daldal mein dhansta ja raha hun mere chaaron or gadli lajlaji yaadon ki tah hai sar pe biti umr ke tute hue lamhon ka bojh is safar ki ibtida kaise hui thi ye khabar mujh ko nahin yaad bas itna hai mere walid-e-marhum kuchh upar hi mujh se rah gae the intiha kya hai safar ki kaun jaane sans ka har taziyana mujh ko niche aur niche ki taraf hi khinchta hai jaane main tah tak bhi pahunchunga ki walid ki tarah apne bachchon ko bhi dhansne ke liye kah jaunga waqt ki daldal mein dhansta ja raha hun